Gham nasebon ko kisi nay to pukara hoga
Iss bhari bazm main koi to humara hoga
Aaj kis yaad say chamki teri chashm-e-pur-num
Jaany ye kis kay muqadar ka sitara hoga
Jaany ab husan lutaaye ga kahan dolat-dard
Jaany abb kis ko gham-e-Ishq ka yaara hoga
Tere chupnay say chupain gi na humaari yaaden
Tu jahaan hoga wahiin zikar humara hoga
Yuun judai to gawara thi, ye maalom na tha
Tujh say yuun mil kay bicharna bhi gawara hoga
Choor kr aaye thy jab shahr-e-tamana hum loog
Mudatton raah guzaaron nay pukara hoga
Muskurata hay to ik Aah nikal jaati hay
Ye 'Tabassum' bhi koi dard ka maara hoga